Dialog on “Mind and Body”

“Farz karein ke main kisi jangal mein paida hota, kisi insan ki zabaan,falsafa o nafsiat se aag’hi na rakhta,
phir bhi mæn apne jism aur nuqoosh e aagah rehta,apney aap ko haathi na samajhta”
Apny jism aur nuqoosh say aagaahi, mujhay meray baaray main kia batati? Mera sawal to sirf yeh hay keh “mujhay meray baaray main haqeeqat kon batai ga? Aur mera jawab hay keh koi nahin bata sakta. Main ziada say ziada apnay baray main yeh raaey qaaim kar sakta hun keh choonkeh main aisa sochta hun keh main hun. Is liay shayad main hun. Warna mazaahir e fitrat main aisa kia hay jo mujhay meri asal batai ga? Wo maada jis kay aap gun gaa rahay hain. Kia ap us kay baaray main jadeed science ki koi tehqeeq nahin jaantay?

“aur bilfarz agar mæn modern world ka fard hu’n aur apni yad’daasht kho baitho’n to mera ye sawaal”mæn kaun hu’n usi zban mein pocho’n ga jo mæn seht e zehni ke daur mein bolta tha”
Aisa to aap is waja say karaingay keh kiunkeh ap kay dimaagh ka aik hissa abi tak mehfooz hay. Jis main aap ka iktesaab mehfooz hay. Agar koi aisa haadsa keh ap ka iktesaab b aap ko bhool jai, pesh aa gia to ap kisi zaban main b sawal nain kar saktain gay.

“aur ye qat’ae amr he k mæn apne maazi aur muashra mein apne muqaam ka sawaal kr rha hu’n. Mera jism mere honey aur haqeeqat ka qat’ae suboot he”

Mer laash, mera murda jism b mera hi jism hay magar meray honay aur haqeeqat ka zara sa b saboot nahin hay wo. To phir meray zinda jism main aisi kon c cheez thi jis nay mujhay meray honay aur haqeeqat ka yaqeen dilai rakha. Kia wo koi maadi cheez thi?

“aur mera sawaal mere iktesaabi maqaam se mut’alliq he, to mada aik haqeeqat he aur uska ilm hasil kia ja sakta he, sh’oor aur wo tamaam batein jo zehn se mehv huen un ka adraak mada ke tufail hua tha aur aik mada “damaagh” mein kharaabi ki waj’h se mehw hua”.”

Ye para mubhim hay. Kisi ko samajh main ai to mujhay samjha deejiyay ga. Takeh main is ka jawab b likh sakoon. thanks

“Faqat sh’oor ki madad se ilm hasil nahein kia ja sakta ke ye sanwi hesiat rakhta he. Mada ko foqiat deye baghair mumkin nahein. Aur agar di jaye to mumkin he.”

Kon sa maada? Jisay physics tawanaaee ki choti choti lehron kay siwa koi darja nahin deti. Wo physics jo maada paraston ka pasandeeda tareen mazmoon hay. Maaday kay baaray main yeh kehti hay…..keh yeh nazir kay liay izaafi hay. Ham maaday ko jis tarah daikhtay hain, yeh aisa nahin hay. Is bat par physics ko qataee yaqeen hay. Aur isi haqeeqat ki waja say bahut c naee naee eejaadaat ho rahi hain. To phir wo maada jis kay baray main physics ki raaey hay keh wo haqeeqi nahin, balkeh samajh ka dhoka hay, aur us ki haqeeqi shakl main wo invisible to phir us maada ko foqiat kaisay day saktay hain ham zehn aur sha’oor par?